Friday 27 March 2020

ISHQ Shayari , ISHQ sher Collection






 


aur bhi dukh hain zamane men mohabbat ke siva

rahaten aur bhi hain vasl ki rahat ke siva

Faiz Ahmad Faiz








ujale apni yadon ke hamare saath rahne do

na jaane kis gali men zindagi ki shaam ho jaa.e

Bashir Badr








aur kya dekhne ko baaqi hai

aap se dil laga ke dekh liya

Faiz Ahmad Faiz






  

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa

Ahmad Faraz








ishq ne 'ġhalib' nikamma kar diya

varna ham bhi aadmi the kaam ke

Mirza Ghalib








donon jahan teri mohabbat men haar ke

vo ja raha hai koi shab-e-ġham guzar ke

Faiz Ahmad Faiz








ishq nazuk-mizaj hai behad

aql ka bojh uTha nahin sakta

Akbar Allahabadi







mohabbat men nahin hai farq jiine aur marne ka

usi ko dekh kar jiite hain jis kafir pe dam nikle

Mirza Ghalib








us ki yaad aa.i hai sanso zara ahista chalo

dhaḌkanon se bhi ibadat men khalal paḌta hai

Rahat Indori








kuchh to majburiyan rahi hongi

yuun koi bevafa nahin hota

Bashir Badr






    Tags: Bewafai and 3 more

kis kis ko bata.enge juda.i ka sabab ham

tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

Ahmad Faraz








aziiz itna hi rakkho ki ji sambhal jaa.e

ab is qadar bhi na chaho ki dam nikal jaa.e

Obaidullah Aleem






    Tags: Mohabbat and 1 more

inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao

mire ghar ke raste men koi kahkashan nahin hai

Mustafa Zaidi








hua hai tujh se bichhaḌne ke ba.ad ye ma.alum

ki tu nahin tha tire saath ek duniya thi

Ahmad Faraz





    Tags: Judai and 2 more

ab juda.i ke safar ko mire asan karo

tum mujhe khvab men aa kar na pareshan karo

Munawwar Rana





    Tags: Judai and 3 more

na ji bhar ke dekha na kuchh baat ki

baḌi aarzu thi mulaqat ki

Bashir Badr






    Tags: Aarzoo and 4 more

hosh valon ko khabar kya be-khudi kya chiiz hai

ishq kiije phir samajhiye zindagi kya chiiz hai

Nida Fazli







ai mohabbat tire anjam pe rona aaya

jaane kyuun aaj tire naam pe rona aaya

Shakeel Badayuni






    Tags: Dard and 4 more

zindagi kis tarah basar hogi

dil nahin lag raha mohabbat men

Jaun Eliya






  

koi samjhe to ek baat kahun

ishq taufiq hai gunah nahin

Firaq Gorakhpuri






    Tags: Gunah and 3 more

chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai

ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai

Hasrat Mohani








dil dhaḌakne ka sabab yaad aaya

vo tiri yaad thi ab yaad aaya

Nasir Kazmi






    Tags: Love and 3 more

gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi

vo baat apni jagah hai ye baat apni jagah

Basir Sultan Kazmi






    Tags: Mohabbat and 1 more

maktab-e-ishq ka dastur nirala dekha

us ko chhuTTi na mili jis ko sabaq yaad hua

Meer Tahir Ali Rizvi







ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

Jigar Moradabadi








kya kaha ishq javedani hai!

akhiri baar mil rahi ho kya

Jaun Eliya






    Tag: Mohabbat

aate aate mira naam sa rah gaya

us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya

Waseem Barelvi








ishq par zor nahin hai ye vo atish 'ġhalib'

ki laga.e na lage aur bujha.e na bane

Mirza Ghalib








tire ishq ki intiha chahta huun

miri sadgi dekh kya chahta huun

Allama Iqbal








karunga kya jo mohabbat men ho gaya nakam

mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata

Ghulam Mohammad Qasir








aaj dekha hai tujh ko der ke ba.ad

aaj ka din guzar na jaa.e kahin

Nasir Kazmi






    Tags: Love and 3 more

kisi ke tum ho kisi ka khuda hai duniya men

mire nasib men tum bhi nahin khuda bhi nahin

Akhtar Saeed Khan





    Tags: Mayoosi and 3 more

tum mujhe chhoḌ ke jaoge to mar ja.unga

yuun karo jaane se pahle mujhe pagal kar do

Bashir Badr





    Tags: Mohabbat and 1 more

anjam-e-vafa ye hai jis ne bhi mohabbat ki

marne ki dua mangi jiine ki saza paa.i

Nushur Wahidi





    Tags: Anjam and 2 more

vo to khush-bu hai havaon men bikhar ja.ega

mas.ala phuul ka hai phuul kidhar ja.ega

Parveen Shakir








main to ġhazal suna ke akela khaḌa raha

sab apne apne chahne valon men kho ga.e

Krishn Bihari Noor





    Tags: Hasrat and 2 more

mohabbaton men dikhave ki dosti na mila

agar gale nahin milta to haath bhi na mila

Bashir Badr






    Tags: Dosti and 1 more

aap ke ba.ad har ghaḌi ham ne

aap ke saath hi guzari hai

Gulzar






    Tags: Hijr and 4 more

badan men jaise lahu taziyana ho gaya hai

use gale se laga.e zamana ho gaya hai

Irfan Siddiqi








dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main

kitna hasin gunah kiye ja raha huun main

Jigar Moradabadi








hamen bhi niind aa ja.egi ham bhi so hi ja.enge

abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jaao

Qateel Shifai






    Tags: Bechaini and 6 more

akhri hichki tire zanun pe aa.e

maut bhi main sha.irana chahta huun

Qateel Shifai








musafiron se mohabbat ki baat kar lekin

musafiron ki mohabbat ka e'tibar na kar

Umar Ansari





    Tags: Bharosa and 2 more

tera milna khushi ki baat sahi

tujh se mil kar udaas rahta huun

Sahir Ludhianvi







jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin

daba daba sa sahi dil men pyaar hai ki nahin

Kaifi Azmi








us ko juda hue bhi zamana bahut hua

ab kya kahen ye qissa purana bahut hua

Ahmad Faraz






    Tags: Judai and 2 more

tum ko aata hai pyaar par ġhussa

mujh ko ġhusse pe pyaar aata hai

Ameer Minai







ye ishq nahin asan itna hi samajh liije

ik aag ka dariya hai aur Duub ke jaana hai

Jigar Moradabadi








apni tabahiyon ka mujhe koi ġham nahin

tum ne kisi ke saath mohabbat nibha to di

Sahir Ludhianvi






    Tag: Mohabbat

ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bavajud

mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi

Nasir Kazmi








khuda ki itni baḌi ka.enat men main ne

bas ek shakhs ko manga mujhe vahi na mila

Bashir Badr






  

mujhe ab tum se Dar lagne laga hai

tumhen mujh se mohabbat ho ga.i kya

Jaun Eliya







jis ki ankhon men kaTi thiin sadiyan

us ne sadiyon ki juda.i di hai

Gulzar






    Tags: Hijr and 5 more

aarzu hai ki tu yahan aa.e

aur phir umr bhar na jaa.e kahin

Nasir Kazmi






    Tags: Aarzoo and 5 more

ġham aur khushi men farq na mahsus ho jahan

main dil ko us maqam pe laata chala gaya

Sahir Ludhianvi






    Tags: Gham and 4 more

sar jhukaoge to patthar devta ho ja.ega

itna mat chaho use vo bevafa ho ja.ega

Bashir Badr








milna tha ittifaq bichhaḌna nasib tha

vo utni duur ho gaya jitna qarib tha

Anjum Rehbar






    Tags: Hijr and 4 more

shadid pyaas thi phir bhi chhua na paani ko

main dekhta raha dariya tiri ravani ko

Shahryar








mohabbat ki to koi had, koi sarhad nahin hoti

hamare darmiyan ye fasle, kaise nikal aa.e

Khalid Moin






    Tags: Fasla and 3 more

kitni lambi khamoshi se guzra huun

un se kitna kuchh kahne ki koshish ki

Gulzar






  

tum kya jaano apne aap se kitna main sharminda huun

chhuT gaya hai saath tumhara aur abhi tak zinda huun

Saghar Azmi







jab bhi aata hai mira naam tire naam ke saath

jaane kyuun log mire naam se jal jaate hain

Qateel Shifai








ye mohabbat ki kahani nahin marti lekin

log kirdar nibhate hue mar jaate hain

Abbas Tabish








ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umiden

ye akhiri sham.en bhi bujhane ke liye aa

Ahmad Faraz






  

saari duniya ke ġham hamare hain

aur sitam ye ki ham tumhare hain

Jaun Eliya





    Tags: Gham and 2 more

tum mohabbat ko khel kahte ho

ham ne barbad zindagi kar li

Bashir Badr







ishq se tabi.at ne ziist ka maza paaya

dard ki dava paa.i dard-e-be-dava paaya

Mirza Ghalib






    Tags: Dard and 3 more

ishq ik 'mir' bhari patthar hai

kab ye tujh na-tavan se uThta hai

Meer Taqi Meer








ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hain un ko

kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya

Sahir Ludhianvi








aap daulat ke tarazu men dilon ko taulen

ham mohabbat se mohabbat ka sila dete hain

Sahir Ludhianvi






    Tags: Dil and 3 more

us ko rukhsat to kiya tha mujhe ma.alum na tha

saara ghar le gaya ghar chhoḌ ke jaane vaala

Nida Fazli






    Tags: Farewell and 3 more

tumhare shahr ka mausam baḌa suhana lage

main ek shaam chura luun agar bura na lage

Qaisarul Jafri






    Tags: Ishq and 5 more

bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham

qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye

Khumar Barabankavi








na puchho husn ki tarif ham se

mohabbat jis se ho bas vo hasin hai

Adil Farooqui





    Tags: Husn and 2 more

itni milti hai miri ġhazlon se surat teri

log tujh ko mira mahbub samajhte honge

Bashir Badr






  

gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do Dar kaisa

gar jiit ga.e to kya kahna haare bhi to baazi maat nahin

Faiz Ahmad Faiz


yaad rakhna hi mohabbat men nahin hai sab kuchh

bhuul jaana bhi baḌi baat hua karti hai

Jamal Ehsani






  

tum se bichhaḌ kar zinda hain

jaan bahut sharminda hain

Iftikhar Arif







dekhne ke liye saara aalam bhi kam

chahne ke liye ek chehra bahut

Asad Badayuni






    Tags: Deedar and 2 more

mohabbat karne vaale kam na honge

tiri mahfil men lekin ham na honge

Hafeez Hoshiarpuri








bhala ham mile bhi to kya mile vahi duriyan vahi fasle

na kabhi hamare qadam baḌhe na kabhi tumhari jhijak ga.i

Bashir Badr






    Tags: Fasla and 3 more

ishq jab tak na kar chuke rusva

aadmi kaam ka nahin hota

Jigar Moradabadi








patthar mujhe kahta hai mira chahne vaala

main mom huun us ne mujhe chhu kar nahin dekha

Bashir Badr






  

main jab so ja.un in ankhon pe apne honT rakh dena

yaqin aa ja.ega palkon tale bhi dil dhaḌakta hai

Bashir Badr






  

log kahte hain ki tu ab bhi khafa hai mujh se

teri ankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se

Jaan Nisar Akhtar






    Tags: Aankh and 4 more

abhi raah men ka.i moḌ hain koi aa.ega koi ja.ega

tumhen jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo

Bashir Badr






    Tags: Dil and 3 more

jaane vaale se mulaqat na hone paa.i

dil ki dil men hi rahi baat na hone paa.i

Shakeel Badayuni





    Tags: Dil and 4 more

abhi na chheḌ mohabbat ke giit ai mutrib

abhi hayat ka mahaul khush-gavar nahin

Sahir Ludhianvi








chalo achchha hua kaam aa ga.i divangi apni

vagarna ham zamane bhar ko samjhane kahan jaate

Qateel Shifai






    Tags: Diwangi and 4 more

bahut dinon men mohabbat ko ye hua ma.alum

jo tere hijr men guzri vo raat raat hui

Firaq Gorakhpuri







ashiqi men bahut zaruri hai

bevafa.i kabhi kabhi karna

Bashir Badr





    Tags: Bewafai and 3 more

vo chehra kitabi raha samne

baḌi khubsurat paḌha.i hui

Bashir Badr






    Tags: Chehra and 3 more

ishq ka zauq-e-nazara muft men badnam hai

husn khud be-tab hai jalva dikhane ke liye

Asrarul Haq Majaz






    Tags: Husn and 3 more

tumhen zarur koi chahaton se dekhega

magar vo ankhen hamari kahan se la.ega

Bashir Badr






    Tags: Farewell and 2 more

ashiqi men 'mir' jaise khvab mat dekha karo

bavle ho jaoge mahtab mat dekha karo

Ahmad Faraz






  

tum mere liye ab koi ilzam na DhunDo

chaha tha tumhen ik yahi ilzam bahut hai

Sahir Ludhianvi








unhen apne dil ki khabren mire dil se mil rahi hain

main jo un se ruuTh ja.un to payam tak na pahunche

Shakeel Badayuni






  

un ka zikr un ki tamanna un ki yaad

vaqt kitna qimti hai aaj kal

Shakeel Badayuni








dil men na ho jur.at to mohabbat nahin milti

khairat men itni baḌi daulat nahin milti

Nida Fazli






  

tum se chhuT kar bhi tumhen bhulna asan na tha

tum ko hi yaad kiya tum ko bhulane ke liye

Nida Fazli







mohabbat ek khushbu hai hamesha saath chalti hai

koi insan tanha.i men bhi tanha nahin rahta

Bashir Badr








na paak hoga kabhi husn o ishq ka jhagḌa

vo qissa hai ye ki jis ka koi gavah nahin

Haidar Ali Aatish







atish-e-ishq vo jahannam hai

jis men firdaus ke nazare hain

Jigar Moradabadi








ashiqi sabr-talab aur tamanna betab

dil ka kya rang karun khun-e-jigar hote tak

Mirza Ghalib








chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahv-e-yas rahta huun

tera milna khushi ki baat sahi tujh se mil kar udaas rahta huun

Sahir Ludhianvi





    Tags: Ishq and 5 more

aql ko tanqid se fursat nahin

ishq par a.amal ki buniyad rakh

Allama Iqbal





    Tags: Ilm and 2 more

sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi

tum aa.e to is raat ki auqat banegi

Jaan Nisar Akhtar






    Tags: Intezar and 4 more

abhi aa.e abhi jaate ho jaldi kya hai dam le lo

na chheḌunga main jaisi chahe tum mujh se qasam le lo

Ameer Minai





  

ahl-e-havas to khair havas men hue zalil

vo bhi hue kharab, mohabbat jinhon ne ki

Ahmad Mushtaq






  

kabhi yak-ba-yak tavajjoh kabhi daf.atan taġhaful

mujhe aazma raha hai koi rukh badal badal kar

Shakeel Badayuni








zara si baat sahi tera yaad aa jaana

zara si baat bahut der tak rulati thi

Nasir Kazmi







ye mere ishq ki majburiyan ma.az-allah

tumhara raaz tumhin se chhupa raha huun main

Asrarul Haq Majaz






  

phir kho na jaa.en ham kahin duniya ki bhiiḌ men

milti hai paas aane ki mohlat kabhi kabhi

Sahir Ludhianvi








ek chehra hai jo ankhon men basa rahta hai

ik tasavvur hai jo tanha nahin hone deta

Javed Naseemi





  

mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thi lekin

kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhoḌ diya

Shakeel Badayuni








jazba-e-ishq salamat hai to insha-allah

kachche dhage se chale a.enge sarkar bandhe

Insha Allah Khan 'Insha'







ik roz khel khel men ham us ke ho ga.e

aur phir tamam umr kisi ke nahin hue

Vipul Kumar








zindagi yunhi bahut kam hai mohabbat ke liye

ruuTh kar vaqt ganvane ki zarurat kya hai

Unknown





  

jab hua zikr zamane men mohabbat ka 'shakil'

mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya

Shakeel Badayuni






    Tags: Dard and 5 more

dil pe aa.e hue ilzam se pahchante hain

log ab mujh ko tire naam se pahchante hain

Qateel Shifai






    Tags: Dil and 3 more

ishq bhi ho hijab men husn bhi ho hijab men

ya to khud ashkar ho ya mujhe ashkar kar

Allama Iqbal






    Tags: Husn and 3 more

vaise to tumhin ne mujhe barbad kiya hai

ilzam kisi aur ke sar jaa.e to achchha

Sahir Ludhianvi








aadmi jaan ke khata hai mohabbat men fareb

khud-farebi hi mohabbat ka sila ho jaise

Iqbal Azeem





    Tags: Dhoka and 3 more

sirf us ke honT kaġhaz par bana deta huun main

khud bana leti hai honTon par hansi apni jagah

Anwar Shuoor








yuun to har shaam umidon men guzar jaati hai

aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya

Shakeel Badayuni








ilaaj apna karate phir rahe ho jaane kis kis se

mohabbat kar ke dekho na mohabbat kyuun nahin karte

Farhat Ehsas







mere ham-nafas mere ham-nava mujhe dost ban ke daġha na de

main huun dard-e-ishq se jan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de

Shakeel Badayuni






    Tags: Dard and 6 more

bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul

kahte hain jis ko ishq khalal hai dimaġh ka

Mirza Ghalib








kuchh khel nahin hai ishq karna

ye zindagi bhar ka rat-jaga hai

Ahmad Nadeem Qasmi








ishq mujh ko nahin vahshat hi sahi

meri vahshat tiri shohrat hi sahi

Mirza Ghalib








maang luun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaa.e

sau savalon se yahi ek saval achchha hai

Ameer Minai






    Tags: Dua and 4 more

husn ik dilruba hukumat hai

ishq ik qudrati ġhulami hai

Abdul Hamid Adam







is ta.alluq men nahin mumkin talaq

ye mohabbat hai koi shadi nahin

Anwar Shuoor







vo ek hi chehra to nahin saare jahan men

jo duur hai vo dil se utar kyuun nahin jaata

Nida Fazli






    Tags: Chehra and 2 more

dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya

jab chali sard hava main ne tujhe yaad kiya

Josh Malihabadi








kyuun hijr ke shikve karta hai kyuun dard ke rone rota hai

ab ishq kiya to sabr bhi kar is men to yahi kuchh hota hai

Hafeez Jalandhari






    Tags: Dard and 3 more

ajiib raat thi kal tum bhi aa ke lauT ga.e

jab aa ga.e the to pal bhar Thahar ga.e hote

Bashir Badr








abhi zinda huun lekin sochta rahta huun khalvat men

ki ab tak kis tamanna ke sahare ji liya main ne

Sahir Ludhianvi








ye kin nazron se tu ne aaj dekha

ki tera dekhna dekha na jaa.e

Ahmad Faraz








kisi sabab se agar bolta nahin huun main

to yuun nahin ki tujhe sochta nahin huun main

Iftikhar Mughal






  

jab tum se mohabbat ki ham ne tab ja ke kahin ye raaz khula

marne ka saliqa aate hi jiine ka shu.ur aa jaata hai

Sahir Ludhianvi








jise ishq ka tiir kaari lage

use zindagi kyuun na bhari lage

Wali Mohammad Wali








garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jaate hain

ham charaġhon ki tarah shaam se jal jaate hain

Qateel Shifai








unhin raston ne jin par kabhi tum the saath mere

mujhe rok rok puchha tira ham-safar kahan hai

Bashir Badr







kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai

ham khak-nashinon ki Thokar men zamana hai

Jigar Moradabadi








tumhara naam aaya aur ham takne lage rasta

tumhari yaad aa.i aur khiḌki khol di ham ne

Munawwar Rana






  

vo jo ham men tum men qarar tha tumhen yaad ho ki na yaad ho

vahi yaani va.ada nibah ka tumhen yaad ho ki na yaad ho

Momin Khan Momin








ham apna ishq chamka.en tum apna husn chamkao

ki hairan dekh kar aalam hamen bhi ho tumhen bhi ho

Bahadur Shah Zafar








ishq men bu hai kibriya.i ki

ashiqi jis ne ki khuda.i ki

Baqaullah 'Baqa'








mire saliqe se meri nibhi mohabbat men

tamam umr main nakamiyon se kaam liya

Meer Taqi Meer








utar bhi aao kabhi asman ke ziine se

tumhen khuda ne hamare liye banaya hai

Bashir Badr








hamare ishq men rusva hue tum

magar ham to tamasha ho ga.e hain

Athar Nafees





  

log kahte hain mohabbat men asar hota hai

kaun se shahr men hota hai kidhar hota hai

Mushafi Ghulam Hamdani








main chahta huun ki tum hi mujhe ijazat do

tumhari tarah se koi gale laga.e mujhe

Bashir Badr






    Tags: Ijazat and 2 more

ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko

ye kahne men mujh ko zamane lage hain

Khumar Barabankavi








husn ko sharmsar karna hi

ishq ka intiqam hota hai

Asrarul Haq Majaz






    Tags: Husn and 3 more

kya kahun tum se main ki kya hai ishq

jaan ka rog hai bala hai ishq

Meer Taqi Meer








do ghaḌi us se raho duur to yuun lagta hai

jis tarah saya-e-divar se divar juda

Ahmad Faraz








ik khilauna TuuT ja.ega naya mil ja.ega

main nahin to koi tujh ko dusra mil ja.ega

Adeem Hashmi








vo kahin bhi gaya lauTa to mire paas aaya

bas yahi baat hai achchhi mire harja.i ki

Parveen Shakir








ye Thiik hai nahin marta koi juda.i men

khuda kisi ko kisi se magar juda na kare

Qateel Shifai








ishq men kaun bata sakta hai

kis ne kis se sach bola hai

Ahmad Mushtaq






  

tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil

itna asan tire ishq ka ġham tha hi nahin

Firaq Gorakhpuri





    Tags: Bechaini and 5 more

koi ai 'shakil' puchhe ye junun nahin to kya hai

ki usi ke ho ga.e ham jo na ho saka hamara

Shakeel Badayuni








kya mila tum ko mire ishq ka charcha kar ke

tum bhi rusva hue akhir mujhe rusva kar ke

Unknown








ishq ko ek umr chahiye aur

umr ka koi e'tibar nahin

Jigar Barelvi





    Tags: Bharosa and 3 more

mohabbat ka tum se asar kya kahun

nazar mil ga.i dil dhaḌakne laga

Akbar Allahabadi





    Tags: Dil and 3 more

main har haal men muskurata rahunga

tumhari mohabbat agar saath hogi

Bashir Badr








zindagi jab azaab hoti hai

ashiqi kamyab hoti hai

Dushyant Kumar







duniya ke sitam yaad na apni hi vafa yaad

ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad

Jigar Moradabadi








un ka ġham un ka tasavvur un ke shikve ab kahan

ab to ye baten bhi ai dil ho ga.iin aa.i ga.i

Sahir Ludhianvi






    Tags: Gham and 6 more

kis darja dil-shikan the mohabbat ke hadse

ham zindagi men phir koi arman na kar sake

Sahir Ludhianvi








vahi karvan vahi raste vahi zindagi vahi marhale

magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi ham nahin

Shakeel Badayuni






    Tags: Dard and 3 more

ishq ke sho.ale ko bhaḌkao ki kuchh raat kaTe

dil ke angare ko dahkao ki kuchh raat kaTe

Makhdoom Mohiuddin






    Tags: Dil and 4 more

ishq men kya nuqsan naf.a hai ham ko kya samjhate ho

ham ne saari umr hi yaaro dil ka karobar kiya

Jaan Nisar Akhtar







ham ko kis ke ġham ne maara ye kahani phir sahi

kis ne toḌa dil hamara ye kahani phir sahi

Masroor Anwar








aziyyat musibat malamat bala.en

tire ishq men ham ne kya kya na dekha

Khwaja Meer Dard








tujh ko khabar nahin magar ik sada-lauh ko

barbad kar diya tire do din ke pyaar ne

Sahir Ludhianvi








haan kabhi khvab-e-ishq dekha tha

ab tak ankhon se khuun Tapakta hai

Akhtar Ansari






    Tags: Aankh and 3 more

jab ishq sikhata hai adab-e-khud-agahi

khulte hain ġhulamon par asrar-e-shahanshahi

Allama Iqbal








ham jante to ishq na karte kisu ke saath

le jaate dil ko khaak men is aarzu ke saath

Meer Taqi Meer








pyaar ka pahla khat likhne men vaqt to lagta hai

na.e parindon ko uḌne men vaqt to lagta hai

Hastimal Hasti








kisi ka yuun to hua kaun umr bhar phir bhi

ye husn o ishq to dhoka hai sab magar phir bhi

Firaq Gorakhpuri






    Tags: Dhoka and 3 more

ham tire shauq men yuun khud ko ganva baiThe hain

jaise bachche kisi tyauhar men gum ho jaa.en

Ahmad Faraz






    Tags: Diwangi and 2 more

main ne din raat khuda se ye dua mangi thi

koi aahaT na ho dar par mire jab tu aa.e

Bashir Badr






    Tags: Aahat and 3 more

vafa tujh se ai bevafa chahta huun

miri sadgi dekh kya chahta huun

Hasrat Mohani






  

tujh se mil kar to ye lagta hai ki ai ajnabi dost

tu miri pahli mohabbat thi miri akhiri dost

Ahmad Faraz








talaq de to rahe ho itab-o-qahr ke saath

mira shabab bhi lauTa do meri mahr ke saath

Sajid Sajni





    Tags: Aurat and 4 more

silsile toḌ gaya vo sabhi jaate jaate

varna itne to marasim the ki aate jaate

Ahmad Faraz








ham jurm-e-mohabbat ki saza pa.enge tanha

jo tujh se hui ho vo khata saath liye ja

Sahir Ludhianvi








mere khvabon men bhi tu mere khayalon men bhi tu

kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun

Sahir Ludhianvi








zalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bahut thi

majbur the ham us se mohabbat bhi bahut thi

Kaleem Aajiz








tumhara naam likhne ki ijazat chhin ga.i jab se

koi bhi lafz likhta huun to ankhen bhiig jaati hain

Wasi Shah








'faraz' ishq ki duniya to khub-surat thi

ye kis ne fitna-e-hijr-o-visal rakkha hai

Ahmad Faraz








rone lagta huun mohabbat men to kahta hai koi

kya tire ashkon se ye jangal hara ho ja.ega

Ahmad Mushtaq






  

mohabbat hi men milte hain shikayat ke maze paiham

mohabbat jitni baḌhti hai shikayat hoti jaati hai

Shakeel Badayuni








qabron men nahin ham ko kitabon men utaro

ham log mohabbat ki kahani men maren hain

Ejaaz tawakkal





  

ishq ki choT ka kuchh dil pe asar ho to sahi

dard kam ho ya ziyada ho magar ho to sahi

Jalal Lakhnavi





    Tags: Dard and 3 more

maraz-e-ishq jise ho use kya yaad rahe

na dava yaad rahe aur na dua yaad rahe

Sheikh Ibrahim Zauq






    Tags: Dua and 2 more

tum nahin paas koi paas nahin

ab mujhe zindagi ki aas nahin

Jigar Barelvi








ablon ka shikva kya Thokaron ka ġham kaisa

aadmi mohabbat men sab ko bhuul jaata hai

Amir Usmani








mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se

khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai

Bashir Badr








jo dil rakhte hain siine men vo kafir ho nahin sakte

mohabbat diin hoti hai vafa iman hoti hai

Arzoo Lakhnavi





    Tags: Dil and 3 more

kaafi hai mire dil ki tasalli ko yahi baat

aap aa na sake aap ka paiġham to aaya

Shakeel Badayuni








ik safar men koi do baar nahin luT sakta

ab dobara tiri chahat nahin ki ja sakti

Jamal Ehsani






    Tags: Dhoka and 2 more

ab miri baat jo maane to na le ishq ka naam

tu ne dukh ai dil-e-nakam bahut sa paaya

Mushafi Ghulam Hamdani





    Tags: Dard and 3 more

ibtida vo thi ki jiine ke liye marta tha main

intiha ye hai ki marne ki bhi hasrat na rahi

Mahirul Qadri








kya jaane kis ada se liya tu ne mera naam

duniya samajh rahi hai ki sach-much tira huun main

Qateel Shifai








ishq ki har dastan men ek hi nukta mila

ishq ka maazi hua karta hai mustaqbil nahin

Unknown








idhar aa raqib mere main tujhe gale laga luun

mira ishq be-maza tha tiri dushmani se pahle

Kaif Bhopali








ek kami thi taj-mahal men

main ne tiri tasvir laga di

Kaif Bhopali








mujh se tu puchhne aaya hai vafa ke ma.ani

ye tiri sada-dili maar na Daale mujh ko

Qateel Shifai








kucha-e-ishq men nikal aaya

jis ko khana-kharab hona tha

Jigar Moradabadi








na vo surat dikhate hain na milte hain gale aa kar

na ankhen shaad hotin hain na dil masrur hota hai

Lala Madhav Ram Jauhar





    Tags: Aankh and 4 more

rahega saath tira pyaar zindagi ban kar

ye aur baat miri zindagi vafa na kare

Qateel Shifai








main us ki dastaras men huun magar vo

mujhe meri raza se mangta hai

Parveen Shakir








us ke baare men bahut sochta huun

mujh se bichhḌa to kidhar ja.ega

Farhat Abbas Shah








ham to samjhe the ki barsat men barsegi sharab

aa.i barsat to barsat ne dil toḌ diya

Sudarshan Faakhir






    Tags: Barish and 2 more

tum se mil kar imli miThi lagti hai

tum se bichhaḌ kar shahad bhi khara lagta hai

Kaif Bhopali








tamam umr tira intizar ham ne kiya

is intizar men kis kis se pyaar ham ne kiya

Hafeez Hoshiarpuri





    Tags: Intezar and 2 more

iqrar hai ki dil se tumhen chahte hain ham

kuchh is gunah ki bhi saza hai tumhare paas

Hasrat Mohani







vo shakhs jis ko dil o jaan se baḌh ke chaha tha

bichhaḌ gaya to ba-zahir koi malal nahin

Bashir Badr








ye vafa ki sakht rahen ye tumhare paanv nazuk

na lo intiqam mujh se mire saath saath chal ke

Khumar Barabankavi








mushkil tha kuchh to ishq ki baazi ko jitna

kuchh jitne ke khauf se haare chale ga.e

Shakeel Badayuni








kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin

bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aa.i

Ahmad Rahi






  

haa.e re majburiyan mahrumiyan nakamiyan

ishq akhir ishq hai tum kya karo ham kya karen

Jigar Moradabadi







ishq paband-e-vafa hai na ki paband-e-rusum

sar jhukane ko nahin kahte hain sajda karna

Aasi uldani








mujhe ishtihar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan

jo kaha nahin vo suna karo jo suna nahin vo kaha karo

Bashir Badr








is qadar bhi to na jazbat pe qaabu rakkho

thak ga.e ho to mire kandhe pe baazu rakkho

Iftikhar Naseem








din bhar to main duniya ke dhandon men khoya raha

jab divaron se dhuup Dhali tum yaad aa.e

Nasir Kazmi








husn yuun ishq se naraz hai ab

phuul khushbu se khafa ho jaise

Iftikhar Aazmi






    Tags: Husn and 2 more

ye mohabbat bhi ek neki hai

is ko dariya men Daal aate hain

Inam Nadeem








tu ne hi to chaha tha ki milta rahun tujh se

teri yahi marzi hai to achchha nahin milta

Ahmad Mushtaq








ik ishq ka ġham aafat aur us pe ye dil aafat

ya ġham na diya hota ya dil na diya hota

Chiragh Hasan Hasrat






  

ham bahut duur nikal aa.e hain chalte chalte

ab Thahar jaa.en kahin shaam ke Dhalte Dhalte

Iqbal Azeem






  

jab unhen dekho pyaar aata hai

aur be-ikhtiyar aata hai

Jaleel Manikpuri







ku-ba-ku phail ga.i baat shanasa.i ki

us ne khushbu ki tarah meri pazira.i ki

Parveen Shakir








naam honTon pe tira aa.e to rahat si mile

tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai

Naqsh Layalpuri







roz milne pe bhi lagta tha ki jug biit ga.e

ishq men vaqt ka ehsas nahin rahta hai

Ahmad Mushtaq








barha un se na milne ki qasam khata huun main

aur phir ye baat qasdan bhuul bhi jaata huun main

Iqbal Azeem







na jaane kaun si manzil pe aa pahuncha hai pyaar apna

na ham ko e'tibar apna na un ko e'tibar apna

Qateel Shifai







tum se milti-julti main avaz kahan se la.unga

taj-mahal ban jaa.e agar mumtaz kahan se la.unga

Saghar Azmi





  

kabhi yuun bhi aa miri aankh men ki miri nazar ko khabar na ho

mujhe ek raat navaz de magar is ke baad sahar na ho

Bashir Badr








dekhe hain bahut ham ne hangame mohabbat ke

aġhaz bhi rusva.i anjam bhi rusva.i

Sufi Tabassum








zindagi bhar ke liye ruuTh ke jaane vaale

main abhi tak tiri tasvir liye baiTha huun

Qaisarul Jafri






  

kya hasin khvab mohabbat ne dikhaya tha hamen

khul ga.i aankh to tabir pe rona aaya

Shakeel Badayuni








bahut mushkil zamanon men bhi ham ahl-e-mohabbat

vafa par ishq ki buniyad rakhna chahte hain

Iftikhar Arif








bhari duniya men faqat mujh se nigahen na chura

ishq par bas na chalega tiri dana.i ka

Ahmad Nadeem Qasmi








ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti

na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota

Dagh Dehlvi






  

ishq to har shakhs karta hai 'shu.ur'

tum ne apna haal ye kya kar liya

Anwar Shuoor







bhala aadmi tha pa nadan nikla

suna hai kisi se mohabbat kare hai

Kaleem Aajiz








is juda.i men tum andar se bikhar jaoge

kisi ma.azur ko dekhoge to yaad a.unga

Wasi Shah








pahle baḌi raġhbat thi tire naam se mujh ko

ab sun ke tira naam main kuchh soch raha huun

Abdul Hamid Adam








charcha hamara ishq ne kyuun ja-ba-ja kiya

dil us ko de diya to bhala kya bura kiya

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida






  

aaj 'tabassum' sab ke lab par

afsane hain mere tere

Sufi Tabassum








bas ek hi bala hai mohabbat kahen jise

vo paniyon men aag lagati hai aaj bhi

Ajeet Singh Hasrat








ishq sunte the jise ham vo yahi hai shayad

khud-bakhud dil men hai ik shakhs samaya jaata

Altaf Hussain Hali







ishq men bhi siyasaten niklin

qurbaton men bhi fasla nikla

Rasa Chughtai





    Tags: Fasla and 2 more

na jaane kaun si manzil pe ishq aa pahuncha

dua bhi kaam na aa.e koi dava na lage

Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri






    Tags: Anjam and 3 more

ham bhuul sake hain na tujhe bhuul sakenge

tu yaad rahega hamen haan yaad rahega

Ibn e Insha








log kahte hain ki tum se hi mohabbat hai mujhe

tum jo kahte ho ki vahshat hai to vahshat hogi

Abdul Hamid Adam







mohabbat men ye kya maqam aa rahe hain

ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain

Jigar Moradabadi








raat teri yadon ne dil ko is tarah chheḌa

jaise koi chuTki le narm narm galon men

Bashir Badr





  

kis se ja kar mangiye dard-e-mohabbat ki dava

chara-gar ab khud hi bechare nazar aane lage

Shakeel Badayuni





    Tags: Charagar and 3 more

ik shakl hamen phir bhaa.i hai ik surat dil men sama.i hai

ham aaj bahut sarshar sahi par agla moḌ juda.i hai

Athar Nafees







hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkar

ik mohabbat ke liye ek javani kam hai

Abbas Tabish







mujhe aa gaya yaqin sa ki yahi hai meri manzil

sar-e-rah jab kisi ne mujhe daf.atan pukara

Shakeel Badayuni








mohabbat soz bhi hai saaz bhi hai

khamoshi bhi hai ye avaz bhi hai

Arsh Malsiyani






    Tags: Awaz and 3 more

muddat se ik laḌki ke rukhsar ki dhuup nahin aa.i

is liye mere kamre men itni ThanDak rahti hai

Bashir Badr







ham ne avval se paḌhi hai ye kitab akhir tak

ham se puchhe koi hoti hai mohabbat kaisi

Altaf Hussain Hali







ishq hi ishq hai jahan dekho

saare aalam men bhar raha hai ishq

Meer Taqi Meer








kyuun meri tarah raton ko rahta hai pareshan

ai chand bata kis se tiri aankh laḌi hai

Sahir lakhnavi







marg hi sehat hai us ki marg hi us ka ilaaj

ishq ka bimar kya jaane dava kya chiiz hai

Bahadur Shah Zafar








tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin

na dil ko malum hai na ham ko jiyenge kaise tujhe bhula ke

Sahir Ludhianvi








ham ishq men hain fard to tum husn men yakta

ham sa bhi nahin ek jo tum sa nahin koi

Lala Madhav Ram Jauhar








mujhe ma.alum hai ahl-e-vafa par kya guzarti hai

samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha huun main

Ahmad Mushtaq








vafa tum se karenge dukh sahenge naaz uTha.enge

jise aata hai dil dena use har kaam aata hai

Arzoo Lakhnavi







hui na aam jahan men kabhi hukumat-e-ishq

sabab ye hai ki mohabbat zamana-saz nahin

Allama Iqbal








mujh se to dil bhi mohabbat men nahin kharch hua

tum to kahte the ki is kaam men ghar lagta hai

Abbas Tabish






    Tags: Dil and 3 more

is maraz se koi bacha bhi hai

charagar ishq ki dava bhi hai

Unknown





    Tags: Charagar and 2 more

khud-kushi jurm bhi hai sabr ki tauhin bhi hai

is liye ishq men mar mar ke jiya jaata hai

Ibrat Siddiqui








apne hamrah jo aate ho idhar se pahle

dasht paḌta hai miyan ishq men ghar se pahle

Ibn e Insha








os se pyaas kahan bujhti hai

musla-dhar baras meri jaan

Rajinder Manchanda Bani






    Tags: Barish and 3 more

sach kahte hain ki naam mohabbat ka hai baḌa

ulfat jata ke dost ko dushman bana liya

Josh Lakhnavi





    Tags: Dost and 3 more

ishq phir ishq hai jis ruup men jis bhes men ho

ishrat-e-vasl bane ya ġham-e-hijran ho jaa.e

Firaq Gorakhpuri








ishq hai ishq karne valon ko

kaisa kaisa baham kya hai ishq

Meer Taqi Meer








ishq men kuchh nazar nahin aaya

jis taraf dekhiye andhera hai

Nooh Narvi





    Tags: Andhera and 2 more

ik mohabbat hi pe mauquf nahin hai 'tabish'

kuchh baḌe faisle ho jaate hain nadani men

Abbas Tabish








rasta de ki mohabbat men badan shamil hai

main faqat ruuh nahin huun mujhe halka na samajh

Saqi Faruqi






    Tags: Badan and 2 more

hamen to un ki mohabbat hai koi kuchh samjhe

hamare saath mohabbat unhen nahin to nahin

Aagha Akbarabadi







jab se tu ne mujhe divana bana rakkha hai

sang har shakhs ne hathon men uTha rakkha hai

Hakeem Nasir








tujh se bichhḌun to tiri zaat ka hissa ho ja.un

jis se marta huun usi zahr se achchha ho ja.un

Ahmad Kamal Parwazi








shaam Dhale ye soch ke baiThe ham apni tasvir ke paas

saari ġhazlen baiThi hongi apne apne miir ke paas

Saghar Azmi





  

husn hai kafir banane ke liye

ishq hai iman laane ke liye

Hairat Gondvi








tamasha dekh rahe the jo Dubne ka mire

miri talash men nikle hain kashtiyan le kar

Unknown







sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha

vagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha

Fatima Hasan






  

mohabbat ko chhupa.e laakh koi chhup nahin sakti

ye vo afsana hai jo be-kahe mash.hur hota hai

Lala Madhav Ram Jauhar







ilahi ek ġham-e-rozgar kya kam tha

ki ishq bhej diya jan-e-mubtala ke liye

Hafeez Jalandhari






    Tags: Gham and 2 more

suna hai khvab mukammal kabhi nahin hote

suna hai ishq khata hai so kar ke dekhte hain

Humaira Rahat






    Tags: Gunah and 3 more

yuun tiri yaad men din raat magan rahta huun

dil dhḌakna tire qadmon ki sada lagta hai

Shahzad Ahmad








meri ik chhoTi si koshish tujh ko paane ke liye

ban ga.i hai mas.ala saare zamane ke liye

Zafar Gorakhpuri








dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne

ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya

Nooh Narvi





    Tags: Dil and 3 more

tiri chahat ke bhige jangalon men

mira tan mor ban kar nachta hai

Parveen Shakir








ishq kar ke bhi khul nahin paaya

tera mera muamla kya hai

Abbas Tabish







ishq men maut ka naam hai zindagi

jis ko jiina ho marna gavara kare

Kaleem Aajiz







tiri khushi se agar ġham men bhi khushi na hui

vo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui

Jigar Moradabadi








ishq se log mana karte hain

jaise kuchh ikhtiyar hai apna

Asar Lakhnavi







tark-e-vafa ke ba.ad ye us ki ada 'qatil'

mujh ko sata.e koi to us ko bura lage

Qateel Shifai







ishq ma.ashuq ishq ashiq hai

yaani apna hi mubtala hai ishq

Meer Taqi Meer








raat thi jab tumhara shahr aaya

phir bhi khiḌki to main ne khaul hi li

Shariq Kaifi







mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne

zamane ab to khush ho zahr ye bhi pi liya main ne

Sahir Ludhianvi








kis tarah apni mohabbat ki main takmil karun

ġham-e-hasti bhi to shamil hai ġham-e-yar ke saath

Qateel Shifai






    Tags: Gham and 2 more

subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai

ki jis se pyaar karen us pe tohmaten bhi dharen

Qateel Shifai








'at.har' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua

koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahval hua

Athar Nafees








main aa gaya huun vahan tak tiri tamanna men

jahan se koi bhi imkan-e-vapsi na rahe

Mahmood Ghazni






    Tags: Diwangi and 3 more

mohabbat ek dam dukh ka mudava kar nahin deti

ye titli baiThti hai zakhm par ahista ahista

Abbas Tabish







ho gaya jis din se apne dil par us ko ikhtiyar

ikhtiyar apna gaya be-ikhtiyari rah ga.i

Bahadur Shah Zafar








tum ko hazar sharm sahi mujh ko laakh zabt

ulfat vo raaz hai ki chhupaya na ja.ega

Altaf Hussain Hali








dil thaam ke karvaT pe liye ja.un huun karvaT

vo aag lagi hai ki bujha.e na bane hai

Kaleem Aajiz







jaati hai dhuup ujle paron ko sameT ke

zakhmon ko ab ginunga main bistar pe leT ke

Shakeb Jalali






    Tags: Dhoop and 3 more

zamane ke jhamelon se mujhe kya

miri jaan! main tumhara aadmi huun

Anwar Shuoor








maraz-e-ishq ko shifa samjhe

dard ko dard ki dava samjhe

Jigar Barelvi





    Tags: Dard and 1 more

ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka

sham.a bhi bujhti hai parvanon ke jal jaane ke ba.ad

Akhtar Muslimi







ishq ke marahil men vo bhi vaqt aata hai

afaten barasti hain dil sukun paata hai

Amir Usmani








maza jab tha ki mere munh se sunte dastan meri

kahan se la.ega qasid dahan mera zaban meri

Unknown





  

mohabbat mar ga.i 'mushtaq' lekin tum na manoge

main ye afvah bhi tum ko suna kar dekh leta huun

Ahmad Mushtaq








koi phuul sa haath kandhe pe tha

mire paanv sho.alon pe jalte rahe

Bashir Badr








marna to bahut sahal si ik baat lage hai

jiina hi mohabbat men karamat lage hai

Kaleem Aajiz







chahat ke badle men ham bech den apni marzi tak

koi mile to dil ka gahak koi hamen apna.e to

Andaleeb Shadani








koi aaya tiri jhalak dekhi

koi bola suni tiri avaz

Josh Malihabadi






    Tags: Awaz and 2 more

ishq ko naġhma-e-ummid suna de aa kar

dil ki soi hui qismat ko jaga de aa kar

Akhtar Shirani






  

ishq men yaar gar vafa na kare

kya kare koi aur kya na kare

haibat Quli Khan Hasrat





    Tags: Intezar and 2 more

tujhe kuchh ishq o ulfat ke siva bhi yaad hai ai dil

suna.e ja raha hai ek hi afsana barson se

Abdul Majeed Salik






    Tags: Dil and 3 more

jis ki havas ke vaste duniya hui aziiz

vapas hue to us ki mohabbat khafa mili

Saqi Faruqi






    Tags: Duniya and 3 more

nahin hoti hai rah-e-ishq men asan manzil

safar men bhi to sadiyon ki masafat chahiye hai

Farhat Nadeem Humayun








ishq hai tarz o taur ishq ke ta.iin

kahin banda kahin khuda hai ishq

Meer Taqi Meer








'shakil' is darja mayusi shuru-e-ishq men kaisi

abhi to aur hona hai kharab ahista ahista

Shakeel Badayuni








be tere kya vahshat ham ko tujh bin kaisa sabr o sukun

tu hi apna shahr hai jaani tu hi apna sahra hai

Ibn e Insha







ishq ke mazmun the jin men vo risale kya hue

ai kitab-e-zindagi tere havale kya hue

Abu Mohammad Sahar







tafriq husn-o-ishq ke andaz men na ho

lafzon men farq ho magar avaz men na ho

Manzar Lakhnavi





    Tags: Awaz and 2 more

shayad isi ka naam mohabbat hai 'shefta'

ik aag si hai siine ke andar lagi hui

Shefta Mustafa Khan







ishq ko dijiye junun men faroġh

dard se dard ki dava kijiye

Jigar Barelvi






    Tags: Dard and 1 more

tumhare hijr men kyuun zindagi na mushkil ho

tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho

Afsar Allahabadi








jo raat din mire marne ki kar rahe the dua

vo ro rahe hain janaze men hichkiyan le kar

Unknown







hijr men itna khasara to nahin ho sakta

ek hi ishq dobara to nahin ho sakta

Afzal Gauhar Rao






    Tags: Hijr and 1 more

yahi do kaam mohabbat ne diye hain ham ko

dil men hai yaad tiri zikr hai lab par tera

Jaleel Manikpuri







ishq us dard ka nahin qaa.il

jo musibat ki intiha na hua

Josh Malsiani






    Tags: Dard and 2 more

mohabbat sulh bhi paikar bhi hai

ye shakh-e-gul bhi hai talvar bhi hai

Jigar Moradabadi








kabhi qarib kabhi duur ho ke rote hain

mohabbaton ke bhi mausam ajiib hote hain

Azhar Inayati








mohabbat ek taraf se maza nahin deti

kuchh iztirab tujhe ho kuchh iztirab mujhe

Jaleel Manikpuri







mohabbat ka un ko yaqin aa chala hai

haqiqat bane ja rahe hain fasane

Mahesh Chandra Naqsh








vo sitam na Dhaa.e to kya kare use kya khabar ki vafa hai kyaa?

tu usi ko pyaar kare hai kyuun ye 'kalim' tujh ko hua hai kyaa?

Kaleem Aajiz








jab mohabbat ka naam sunta huun

haa.e kitna malal hota hai

Moin Ahsan Jazbi








mohabbat vahin tak hai sachchi mohabbat

jahan tak koi ahd-o-paiman nahin hai

Arzoo Lakhnavi







saans lene men dard hota hai

ab hava zindagi ki raas nahin

Jigar Barelvi








haan kuchh bhi to derina mohabbat ka bharam rakh

dil se na aa duniya ko dikhane ke liye aa

Kaleem Aajiz








jab kabhi ham ne kiya ishq pasheman hue

zindagi hai to abhi aur pasheman honge

Hafeez Hoshiarpuri







zamin ke log to kya do dilon ki chahat men

khuda bhi ho to use darmiyan laao mat

Obaidullah Aleem








hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq

yaan shart hai ki apne lahu se vazu karo

Khalilur Rahman Azmi







jo ho saka na mira us ko bhuul ja.un main

para.i aag men kyuun ungliyan jala.un main

Anvar Mahmood Khalid








jise tum DhunDti rahti ho mujh men

vo laḌka jaane kab ka mar chuka hai

Tripurari







us maraz ko maraz-e-ishq kaha karte hain

na dava hoti hai jis ki na dua hoti hai

Shafiq Rizvi





    Tags: Dua and 2 more

ishq ka ghar hai 'mir' se abad

aise phir khanaman-kharab kahan

Meer Taqi Meer








sitam-navazi-e-paiham hai ishq ki fitrat

fuzul husn pe tohmat laga.i jaati hai

Shakeel Badayuni






    Tags: Husn and 2 more

husn bana jab bahti ganga

ishq hua kaġhaz ki naav

Ibn-e-Safi








ek rishta bhi mohabbat ka agar TuuT gaya

dekhte dekhte shiraza bikhar jaata hai

Nushur Wahidi








tujh se mira muamla hota ba-rah-e-rast

ye ishq darmiyan na hota to Thiik tha

Amjad Shahzad








ishq se ja nahin koi khali

dil se le arsh tak bhara hai ishq

Meer Taqi Meer








kis ne abad kiya hai miri virani ko

ishq ne? ishq to bimar paḌa hai mujh men

Anjum Saleemi








har ishq ke manzar men tha ik hijr ka manzar

ik vasl ka manzar kisi manzar men nahin tha

Aqeel Abbas Jafri








uTha.e phirta raha main bahut mohabbat ko

phir ek din yunhi socha ye kya musibat hai

Anjum Saleemi








mohabbat men kaThin raste bahut asan lagte the

pahaḌon par suhulat se chaḌha karte the ham donon

Hasan Abbasi








hamesha aag ke dariya men ishq kyuun utre

kabhi to husn ko ġharq-e-azab hona tha

Karamat Ali Karamat







ishq ne jis dil pe qabza kar liya

phir kahan us men nashat o ġham rahe

Dattatriya Kaifi






    Tags: Dil and 3 more

jab se munh ko lag ga.i 'akhtar' mohabbat ki sharab

be-piye aThon pahar madhosh rahna aa gaya

Akhtar Ansari








jo kuchh paḌti hai sar par sab uThata hai mohabbat men

jahan dil aa gaya phir aadmi majbur hota hai

Lala Madhav Ram Jauhar





    Tags: Dil and 3 more

us ne phir kar bhi na dekha main use dekha kiya

de diya dil raah chalte ko ye main ne kya kiya

Lala Madhav Ram Jauhar





  

chupka khaḌa hua huun kidhar ja.un kya karun

kuchh sujhta nahin hai mohabbat ki raah men

Lala Madhav Ram Jauhar







vahshaten ishq aur majburi

kya kisi khaas imtihan men huun

Khurshid Rabbani








siine se lipTo ya gala kaaTo

ham tumhare hain dil tumhara hai

Lala Madhav Ram Jauhar






  

siine men raz-e-ishq chhupaya na ja.ega

ye aag vo hai jis ko dabaya na ja.ega

Hameed Jalandhari








ishq ki ibtida to jante hain

ishq ki intiha nahin malum

Shafiq Jaunpuri







vo taġhaful-shi.ar kya jaane

ishq to husn ki zarurat hai

Khurshid Rabbani








ishq ab bhi hai vo mahram-e-be-gana-numa

husn yuun laakh chhupe laakh numayan ho jaa.e

Firaq Gorakhpuri






    Tags: Husn and 2 more

bahut dushvar thi rah-e-mohabbat

hamara saath dete ham-safar kya

Mahesh Chandra Naqsh








mire mazar pe aa kar diye jala.ega

vo mere ba.ad miri zindagi men aa.ega

Anjum Khayali








ishq par kuchh na chala dida-e-tar ka qaabu

us ne jo aag laga di vo bujha.i na ga.i

Jigar Moradabadi








zahiran maut hai qaza hai ishq

par haqiqat men jan-fazan hai ishq

Abdul Ghafoor Nassakh


jis ko ham ne chaha tha vo kahin nahin is manzar men

jis ne ham ko pyaar kiya vo samne vaali murat hai

Etibar Sajid








na to main huur ka maftun na pari ka ashiq

khaak ke putle ka hai khaak ka putla ashiq

Peer Sher Mohammad Ajiz





    Tags: Insaan and 1 more

main to sunta huun tumhen bhi hai mohabbat mujh se

sach kaho tum ko mire sar ki qasam hai ki nahin

Jaleel Manikpuri







suna raha huun unhen jhuT-muT ik qissa

ki ek shakhs mohabbat men kamyab raha

Khalilur Rahman Azmi








mohabbat nek-o-bad ko sochne de ġhair-mumkin hai

baḌhi jab be-khudi phir kaun Darta hai gunahon se

Arzoo Lakhnavi







ishq hai ji ka ziyan ishq men rakkha kya hai

dil-e-barbad bata teri tamanna kya hai

Junaid Hazin Lari







main jab 'qatil' apna sab kuchh luTa chuka huun

ab mera pyaar mujh se dana.i chahta hai

Qateel Shifai








mujhe gum-shuda dil ka ġham hai to ye hai

ki is men bhari thi mohabbat kisi ki

Afsar Allahabadi






  

na jaane kaisa samundar hai ishq ka jis men

kisi ko dekha nahin Duub ke ubharte hue

Faragh Rohvi


main chahta huun use aur chahne ke siva

mire liye to koi aur rasta bhi nahin

Saud Usmani








zamin se uTThi hai ya charkh par se utri hai

ye aag ishq ki ya-rab kidhar se utri hai

Insha Allah Khan 'Insha'








jahan-e-ishq se ham sarsari nahin guzre

ye vo jahan hai jahan sarsari nahin koi shai

Ahmad Mushtaq








Tapke jo ashk valvale shadab ho ga.e

kitne ajiib ishq ke adab ho ga.e

Altaf Mashhadi





    Tags: Aansoo and 2 more

ishq ne mansab likhe jis din miri taqdir men

daaġh ki naqadi mili sahra mila jagir men

Baqaullah 'Baqa'







un se ham lau laga.e baiThe hain

aag dil men daba.e baiThe hain

Anwar Dehlvi








chaman se kaun chala hai khamoshiyan le kar

kali kali taḌap uTThi hai siskiyan le kar

Unknown







be-niyaz-e-dahr kar deta hai ishq

be-zaron ko la.al-o-zar deta hai ishq

Abul Hasanat Haqqi








kafan na mera haTao zamana dekh na le

main so gaya huun tumhari nishaniyan le kar

Unknown







mohabbat ke adab sikho zara

use jaan kah kar pukara karo

Vikas Sharma Raaz







na.i mushkil koi darpesh har mushkil se aage hai

safar divangi ka ishq ki manzil se aage hai

Khushbir Singh Shaad






  

ain dana.i hai 'nasikh' ishq men divangi

aap sauda.i hain jo kahte hain sauda.i mujhe

Imam Bakhsh Nasikh






  

'sahar' ab hoga mera zikr bhi raushan-dimaġhon men

mohabbat naam ki ik rasm-e-beja chhoḌ di main ne

Abu Mohammad Sahar







us ne anchal se nikali miri gum-gashta bayaz

aur chupke se mohabbat ka varaq moḌ diya

Javed Saba








jo tire ishq men tabah hua

koi us ko tabah kar na saka

Jaleel Manikpuri


visal-e-yar se duuna hua ishq

maraz baḌhta gaya juun juun dava ki

Shad Lakhnavi







ishq hai be-gudaz kyuun husn hai be-niyaz kyuun

meri vafa kahan ga.i un ki jafa ko kya hua

Abdul Majeed Salik





    Tags: Husn and 2 more

husn aur ishq hain donon kafir

donon men ik jhagḌa sa hai

Azeem Qureshi








ġham mujhe na-tavan rakhta hai

ishq bhi ik nishan rakhta hai

Jurat Qalandar Bakhsh





  

nafrat se mohabbat ko sahare bhi mile hain

tufan ke daman men kinare bhi mile hain

Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi







ishq men marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye

choT lagti hai kahin dard kahin hota hai

Hafeez Banarasi








shorish-e-ishq men hai husn barabar ka sharik

soch kar jurm-e-tamanna ki saza do ham ko

Ehsan Danish








mohabbat ne 'ma.il' kiya har kisi ko

kisi par kisi ko kisi par kisi ko

Ahmad Husain Mail







mohabbat karo aur nibaho to puchhun

ye dushvariyan hain ki asaniyan hain

Hafeez Jalandhari








ishq par faa.ez huun auron ki tarah lekin mujhe

vasl ka lapka nahin hai hijr se vahshat nahin

Ghulam Husain Sajid








ġham-e-ishq hi ne kaaTi ġham-e-ishq ki musibat

isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhara

Farooq Banspari






  

tujh men aur mujh men ta.alluq hai vahi

hai jo rishta saaz aur mizrab men

Bashar Nawaz








ishq men nisbat nahin bulbul ko parvane ke saath

vasl men vo jaan de ye hijr men jiiti rahe

Jafar Ali Khan Zaki







is shahr men to kuchh nahin rusva.i ke siva

ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gaya tujhe

Dil Ayubi








ishq khud sikhata hai saari hikmaten 'ali'

naqd-e-dil kise dena bar-e-sar kahan rakhna

Jaleel 'Aali'


nahin bachta hai bimar-e-mohabbat

suna hai ham ne 'goya' ki zabani

Goya Faqir Mohammad








ishq us ka aan kar yak-bargi sab le gaya

jaan se aram sar se hosh aur chashmon se khvab

Shaikh Zahuruddin Hatim







husn aur ishq ka mazkur na hove jab tak

mujh ko bhata nahin sunna kisi afsane ka

Joshish Azimabadi








ji chahta hai us but-e-kafir ke ishq men

tasbih toḌ Daliye zunnar dekh kar

Aagha Akbarabadi







tumhare ishq men ham nang-o-nam bhuul ga.e

jahan men kaam the jitne tamam bhuul ga.e

Shaikh Zahuruddin Hatim








koi aaya tha dil ki basti men

dil mira jhumta tha masti men

Unknown







yuun mohabbat se jo chahe koi apna kar le

jo hamara na ho us ke kahin ham hote hain

Lala Madhav Ram Jauhar







husn o ishq ki laag men aksar chheḌ udhar se hoti hai

sham.a ki sho.ala jab lahra.i uḌ ke chala parvana bhi

Arzoo Lakhnavi








ishq vaj.h-e-zindagi bhi dushman-e-jani bhi hai

ye nadi payab bhi hai aur tufani bhi hai

Javaan Sandelvi







uryan hararat-e-tap-e-furqat se main raha

har baar mere jism ki poshak jal ga.i

Mirza Raza Barq








vafa parchha.in ki andhi parastish

mohabbat naam hai mahrumiyon ka

Hasan Akbar Kamal








mohabbaten to faqat intiha.en mangti hain

mohabbaton men bhala e'tidal kya karna

Hasan Abbas Raza








tang aa gaya huun vusat-e-mafhum-e-ishq se

nikla jo harf munh se vo afsana ho gaya

Ahsan Marahravi








qadam rakkha jo rah-e-ishq men ham ne to ye dekha

jahan men jitne rahzan hain isi manzil men rahte hain

Jaleel Manikpuri







mohabbat zulf ka aaseb jaadu hai nigahon ka

mohabbat fitna-e-mahshar bala-e-na-gahani hai

Khar Dehlavi








sabr bin aur kuchh na lo hamrah

kucha-e-ishq tang hai yaaro

Shaikh Zahuruddin Hatim








ishq bahrup tha jo chashm o dil o sar men raha

kahin hairat kahin vahshat kahin sauda ban kar

Jaleel Manikpuri







ishq ik aisi haveli hai ki jis se bahar

koi darvaza khule aur na daricha nikle

Akram Naqqash








ishq men qadr-e-khastagi ki ummid

ai 'jigar' hosh ki dava kijiye

Jigar Barelvi








ishq phir ishq hai ashufta-sari mange hai

hosh ke daur men bhi jama-dari mange hai

Unwan Chishti








sauda-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai

majnun ka koi dost fasana-nigar tha

Bekhud Dehlvi







baat niklegi to phir duur talak ja.egi

log be-vaj.h udasi ka sabab puchhenge

Kafeel Aazar Amrohvi





  

tha baḌa ma.arka mohabbat ka

sar kiya main ne de ke sar apna

Jaleel Manikpuri








sukhan ke chaak men pinhan tumhari chahat hai

vagarna kuza-gari ki kise zarurat hai

Arshad Abdul Hamid








tha baḌa ma.arka mohabbat ka

sar kiya main ne de ke sar apna

Jaleel Manikpuri








ishq se hai faroġh-e-rang-e-jahan

ibtida ham hain intiha hain ham

Jalaluddin Akbar


ishq vo kar-e-musalsal hai ki ham apne liye

ek lamha bhi pas-andaz nahin kar sakte

Rais Farogh








mohabbat lafz to saada sa hai lekin 'aziz' is ko

mata-e-dil samajhte the mata-e-dil samajhte hain

Aziz Warsi








sham-e-shab-tab ek raat jali

jalne vaale tamam umr jale

Mahmood Ayaz








ziyan-e-dil hi is bazar men sud-e-mohabbat hai

yahan hai fa.eda khud ko agar nuqsan men rakh len

Iqbal Kausar








ai ishq tu har-chand mira dushman-e-jan ho

marne ka nahin naam ka main apne 'baqa' huun

Baqaullah 'Baqa'







ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-khasta-dil

is ka hai aġhaz shirin aur hai anjam talkh

Haqeer


rah-e-ishq-o-vafa bhi kucha-o-bazar ho jaise

kabhi jo ho nahin paata vo sauda yaad aata hai

Abu Mohammad Sahar







ye daġh-e-ishq jo miTta bhi hai chamakta bhi hai

ye zakhm hai ki nishan hai mujhe nahin malum

Abrar Ahmad


ishq-bazi bul-havas baazi na jaan

ishq hai ye khana-e-khala nahin

Shaikh Zahuruddin Hatim







har ik makan men guzargah-e-khvab hai lekin

agar nahin to nahin ishq ke janab men khvab

Nazeer Akbarabadi








ishq ki dastaras men kuchh bhi nahin

jan-e-man! mere bas men kuchh bhi nahin

Ghulam Husain Sajid


ishq ki saf manin namazi sab

'abru' ko imaam karte hain

Abroo Shah Mubarak





ya dair hai ya ka.aba hai ya ku-e-butan hai

ai ishq tiri fitrat-e-azad kahan hai

Habeeb Ahmad Siddiqui




mohabbat aur 'ma.il' jald-bazi kya qayamat hai

sukun-e-dil banega iztirab ahista ahista

Mael Lakhnavi




sar diije rah-e-ishq men par munh na moḌiye

patthar ki si lakir hai ye koh-kan ki baat

Jurat Qalandar Bakhsh




ye rah-e-ishq hai akhir koi mazaq nahin

sa.ubaton se jo ghabra ga.e hon ghar jaa.en

Dil Ayubi


ishq ki raah men main mast ki tarah

kuchh nahin dekhta buland aur past

Shaikh Zahuruddin Hatim



khvahish-e-sud thi saude men mohabbat ke vale

sar-ba-sar is men ziyan tha mujhe ma.alum na tha

Baqaullah 'Baqa'



ishq bhi hai kis qadar bar-khud-ġhalat

un ki bazm-e-naz aur khuddariyan

Bismil Saeedi


ishq sar-ta-ba-qadam atish-e-sozan hai magar

us men shola na sharara na dhuan hota hai

Amir Usmani


ye kar-e-ishq to bachchon ka khel Thahra hai

so kar-e-ishq men koi kamal kya karna

Hasan Abbas Raza



ji chahega jis ko use chaha na karenge

ham ishq o havas ko kabhi yakja na karenge

Karamat Ali Shaheedi


ishq par ikhtiyar hai kis ka

fa.eda pesh-o-pas men kuchh bhi nahin

Ghulam Husain Sajid

No comments:

Post a Comment

Featured post

Zid pe a jaun toh, ji bhar ke sata kar chorrun

Popular